Dekhte Dekhte Jab Maut Sitare Ki Hui

dekhte dekhte jab maut sitare ki hui

phir koi subh kahan KHwab ke mare ki hui

wo muhajir tha muhajir ka muhajir hi raha

kab tere shahr mein tadbir guzare ki hui

us ke farman sabhi dil ki siyahi ne likhe

aisi tauhin kahan nur-nazare ki hui

bujhte bujhte bhi hui aatish-e-jaan tez bahut

aur jo rasm thi baqi wo sharare ki hui

zindagi bhi kisi bazar ki aurat ki tarah

na biyahe ki hui aur na kanware ki hui

kya sunaun tujhe rudad-e-safar kaisi hai

dhup aamad ki hui chhanw KHasare ki hui

yun to wo chand bhi be-dagh nahin tha 'KHurshid'

aur mujh se bhi KHata ek ishaare ki hui

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhte Dekhte Jab Maut Sitare Ki Hui In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Dekhte Dekhte Jab Maut Sitare Ki Hui is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Dekhte Dekhte Jab Maut Sitare Ki Hui for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Dekhte Dekhte Jab Maut Sitare Ki Hui in PDF.