Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae

ghulam sar pe ibaadat abhi na rakkhi jae

KHuda ke nam baghawat abhi na rakkhi jae

main Thik-Thak to kar lun hasab-nasab apna

lahu pe shart-e-nadamat abhi na rakkhi jae

ki jis ki aanch se jibrail-e-agahi jhulsen

ana mein itni tamazat abhi na rakkhi jae

hamare shahr ki miTTi hai shar-pasand bahut

yahan fasil-e-hifazat abhi na rakkhi jae

bahisht-rang muradon ki ja-namazon par

munafiqon ki siyasat abhi na rakkhi jae

safed-poshi-e-zillat bahut hai jine ko

sar-e-janab-e-sharafat abhi na rakkhi jae

hamare KHun se ibarat hai shajra-e-tahzib

yahan pe mohr-e-siyaadat abhi na rakkhi jae

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae in PDF.