Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan

ghar-bar kahan kucha o bazar meri jaan

darwesh ko duniya nahin darkar meri jaan

ek shahr zamin-bos hai aamad pe tumhaari

raste mein bichhe hain dar-o-diwar meri jaan

kyun arsa-e-aflak siyah-posh hai bolo

kis tarah zamin ho gai gulnar meri jaan

kuchh phul hain shaKHon se abhi jhul rahe hain

ruKHsar pe rakkhe hue ruKHsar meri jaan

rota hun to sailab se kaTti hain zaminen

hansta hun to Dhah jate hain kohsar meri jaan

sunte hain falak-bos imarat hai tah-e-ab

kya shahr tha kya mauj ki raftar meri jaan

dil hai ki abhi dard ke narghe mein ghira hai

chehra hai ki aalam mein hai aKHbar meri jaan

ta-umr na milne ki kasak sath rahegi

pahla to nahin aaKHiri didar meri jaan

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan in PDF.