Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada

ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada

dil hai sahil dil safina dil samundar se ziyaada

do jahan ki neamaton ko do badan se zarb de kar

ek lamha mangta hun banda-parwar se ziyaada

ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochta hun

phul mein hoti nazakat kash patthar se ziyaada

hasrat-e-shahr-e-nasiban kya tujhe malum bhi hai

dasht hai aabaad yani ishq ke ghar se ziyaada

chashm-o-lab se pahle ek tishna talluq chahta hun

aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada

ek larzida faza hai aasman ki wusaton mein

ek parinda uD raha hai apne shah-par se ziyaada

bastiyon ke log sare barf hote ja rahe hain

be-ruKHi achchhi nahin 'KHurshid-akbar' se ziyaada

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ek Manzar Iztirabi Ek Manzar Se Ziyaada in PDF.