KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka

KHala mein tair raha hai sawal duniya ka

KHuda ko aaega kis din KHayal duniya ka

ye aur baat ki jannat yaqin se aage thi

wahan bhi sath gaya ehtimal duniya ka

hamare nama-e-amal mein likha us ne

uruj-e-adam-e-KHaki zawal duniya ka

ye waqia hai ki insan mar gaya pahle

phir is ke baad hua intiqal duniya ka

koi KHabar nahin kis waqt aur kahan gir jae

KHuda ke hath se jam-e-sifal duniya ka

hazar mail ko dhoya hazar sabun se

kisi tarah bhi na chhuTa KHayal duniya ka

ajib rang ka pinjra hai aasman niche

tilism-e-ghaib hai 'KHurshid' haal duniya ka

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka In English By Famous Poet Khursheed Akbar. KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka in PDF.