KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai

KHwab sahra teri tabir nikal aai hai

koi wahshat hai ki jagir nikal aai hai

shaKH-e-mizhgan ke parinde hain ye aansu goya

aab-o-dana liye taqdir nikal aai hai

KHun ubalta hai nikalta hai dhuan aankhon se

dekh pani ki ye tahrir nikal aai hai

shahr is tarah bayaban mein gira hai jaise

waqt ke panw se zanjir nikal aai hai

zindagi tujh ko magar sharm nahin aati kya

kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai

raat hai jism hai bistar hai falak pahlu mein

chand nikla hai ki shamshir nikal aai hai

tez lahron mein salamat nahin koi 'KHurshid'

kis tarah hasrat-e-tamir nikal aai hai

(333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai In English By Famous Poet Khursheed Akbar. KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai in PDF.