Lab-e-dariya Muradon Ka Makan Kaisa Raha Hoga

lab-e-dariya muradon ka makan kaisa raha hoga

ghani palkon tale aab-e-rawan kaisa raha hoga

dahakti aag mein wo saeban kaisa raha hoga

hamare sar ke upar aasman kaisa raha hoga

bahut bechain hai KHak-e-bayaban sar paTakti hai

diwana shahr bhar mein be-aman kaisa raha hoga

sitare bujh gae honge zaminen jal rahi hongi

phir is ke baad sair-e-la-makan kaisa raha hoga

zamin ki be-panahi dekhta hun yaad karta hun

falak pahlu mein tum sa mehrban kaisa raha hoga

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-dariya Muradon Ka Makan Kaisa Raha Hoga In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Lab-e-dariya Muradon Ka Makan Kaisa Raha Hoga is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Lab-e-dariya Muradon Ka Makan Kaisa Raha Hoga for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Lab-e-dariya Muradon Ka Makan Kaisa Raha Hoga in PDF.