Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai

lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai

amir-e-shahr ka KHanjar KHilaf rahta hai

yazid-e-waqt ko duniya qubul kar le magar

sinan ki nok pe ek sar KHilaf rahta hai

sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi

isi KHata pe samundar KHilaf rahta hai

mere usul ke bachche bhi ehtajaji hain

zara jhukun to mera ghar KHilaf rahta hai

main chahta hun ki dushman ko surKH-ru kar dun

magar safed kabutar KHilaf rahta hai

hai e'timad mujhe phawDon ki taqat par

bas itni baat se patthar KHilaf rahta hai

ajab tarah ki tabiat mili hai KHud-sar ko

ki do jahan se 'akbar' KHilaf rahta hai

(313) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai in PDF.