Mat Use Hath Lagana Wo Sajan Aag Hai Aag

mat use hath lagana wo sajan aag hai aag

tum use KHak samajhte ho badan aag hai aag

us ki hasrat mein bhale log mare jate hain

kaun samjhae ki wo ghuncha-dahan aag hai aag

apni tahzib ko pani ki zarurat hogi

chum aaya hun lab-e-gang-o-jaman aag hai aag

wo jo momin hai to miTTi hi kafan hai us ka

aur kafir hai to phir us ka kafan aag hai aag

sare sayyare sitare bhi hain aatish-pare

ye zamin aag ki hai nil-gagan aag hai aag

phul khilte hain ki barud KHabar bhi dena

kitna shadab hai aur kitna chaman aag hai aag

sard alfaz ko baKHshi hai hararat kis ne

rashk-e-'KHurshid' hai wo us ka suKHan aag hai aag

(359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mat Use Hath Lagana Wo Sajan Aag Hai Aag In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Mat Use Hath Lagana Wo Sajan Aag Hai Aag is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Mat Use Hath Lagana Wo Sajan Aag Hai Aag for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Mat Use Hath Lagana Wo Sajan Aag Hai Aag in PDF.