Muqaddas Pattharon Par Muddaa Raushan Na Hone Ka

muqaddas pattharon par muddaa raushan na hone ka

kahan sar phoDiye ab moajaza raushan na hone ka

bhaTakta phir raha hun nafs ke andhe jazire mein

suna hai apne hisse ka KHuda raushan na hone ka

sarayat kar gain iman ki KHush-fahmiyan KHun mein

darun-e-qalb koi waswasa raushan na hone ka

mere talwon pe masnad ho gae kanTe bayaban ke

dil-e-wahshat-zada mein aabla raushan na hone ka

main us ki pahli barish ban ke pi jaunga chupke se

nahin to is zamin ka zaiqa raushan na hone ka

(314) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muqaddas Pattharon Par Muddaa Raushan Na Hone Ka In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Muqaddas Pattharon Par Muddaa Raushan Na Hone Ka is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Muqaddas Pattharon Par Muddaa Raushan Na Hone Ka for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Muqaddas Pattharon Par Muddaa Raushan Na Hone Ka in PDF.