Wo Kaun Hain Phulon Ki Hifazat Nahin Karte

wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte

sunte hain jo KHushbu se mohabbat nahin karte

tum ho ki abhi shahr mein masruf bahut ho

hum hain ki abhi zikr-e-shahadat nahin karte

quran ka mafhum unhen kaun batae

aankhon se jo chehron ki tilawat nahin karte

sahil se suna karte hain lahron ki kahani

ye Thahre hue log baghawat nahin karte

hum bhi tere beTe hain zara dekh hamein bhi

ai KHak-e-watan tujh se shikayat nahin karte

is mausam-e-jamhur mein wo gul bhi khile hain

jo sahib-e-alam ki himayat nahin karte

hum banda-e-nachiz gunahgar hain lekin

wo bhi to zara barish-e-rahmat nahin karte

chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan

aaine magar koi siyasat nahin karte

shabnam ko bharosa hai bahut barg-e-aman par

'KHurshid' bhi danista qayamat nahin karte

(284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaun Hain Phulon Ki Hifazat Nahin Karte In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Wo Kaun Hain Phulon Ki Hifazat Nahin Karte is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Wo Kaun Hain Phulon Ki Hifazat Nahin Karte for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Wo Kaun Hain Phulon Ki Hifazat Nahin Karte in PDF.