Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai

yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai

meri zamin se us ka makan nikalta hai

hamare shahr mein hota hai saneha lekin

KHata kahan ki hai ghussa kahan nikalta hai

ye aur baat ki wo pak sar-zamin hai magar

wahan ki KHak se hindostan nikalta hai

mere liye to akela KHuda bahut hai magar

tumhaare waste sara jahan nikalta hai

siyah raat sitare bujhati rahti hai

ye mera KHwab-sitara kahan nikalta hai

safar hai dhup samundar ka aur jazire sa

kahin kahin pe koi saeban nikalta hai

mana raha hai wo jashn-e-shabab maqtal mein

har ek lash ka chehra jawan nikalta hai

tumhaare ghar mein abhi kitni raushni hogi

hamare ghar se abhi tak dhuan nikalta hai

kaha kisi ne siyah-posh ho gaya 'KHurshid'

suna kisi ne dam-e-kahkashan nikalta hai

(320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai in PDF.