Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-ghar Mein Rahta Hun

ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun

main kis ki aankh ka pani hun kis patthar mein rahta hun

wo KHushbu is talluq se bahut bechain si hogi

main kanTa tha magar ek phul ke bistar mein rahta hun

use ek din yahi KHana-badoshi KHud bataegi

main apne ghar mein rahta hun ki us ke ghar mein rahta hun

agar mohlat mile to qatilan-e-shahr se puchhun

main kis ki jaan hun kyun sina-e-KHanjar mein rahta hun

mujhe ye be-panahi kab tera rasta dikhaegi

teri aawaz hun aur gumbad-e-be-dar mein rahta hun

ye sab KHush-posh chehre ho chuke hain munkashif mujh par

main un ke darmiyan kyun jama-e-mahshar mein rahta hun

KHudi kya chiz hai 'KHurshid-akbar' aur KHuda kya hai

kahun main kis zaban se dast-e-ahan-gar mein rahta hun

(327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-ghar Mein Rahta Hun In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-ghar Mein Rahta Hun is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-ghar Mein Rahta Hun for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ye Kaisa Shahr Hai Main Kis Ajaib-ghar Mein Rahta Hun in PDF.