Ishq Mahi Baghair Aab

jagte sote ye KHayal aaya

tujh ko socha to ye sawal aaya

tum kahan aur main kahan jaanan

fasle kyun hain darmiyan jaanan

yun mile hum ki mil nahin pae

phul hasrat ke khil nahin pae

barq par nama-bar sawar hua

dhup mein abr saya-dar hua

phir talluq ke tar TuT gae

hum pe sadme hazar TuT gae

bebasi ki ajib sham aai

zindagi misl-e-intiqam aai

phir teri did ki saadat ho

waqt ko id ki bashaarat ho

ghair mumkin hai is tarah hona

gham nahana hai dagh hai dhona

masala aa gaya hai pani ka

yani dariya ki be-zabani ka

qurbat-e-jaan ke mushk hote hi

ek samundar ke KHushk hote hi

dard-e-sahra nasib hai apna

ek wahshat raqib hai apna

silsila dur tak sarab ka hai

ishq mahi baghair aab ka hai

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mahi Baghair Aab In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ishq Mahi Baghair Aab is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ishq Mahi Baghair Aab for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ishq Mahi Baghair Aab in PDF.