Jaanan

ruThna tha kise manana tha

waqt ke sath gungunana tha

lahr dariya ke sath rahti hai

bijli baadal mein hai ajab rishta

sans ki Dor ban ke jism ke sath

ruh har lamha hai rawani mein

khelti hai wo aag pani mein

waqt ki baat hai alag jaanan

husn saughat hai alag jaanan

phul se ruThti hai kab KHushbu

raat se ruThta hai kab jugnu

nain se dur kab raha jadu

hanste hanste nikal gae aansu

yun to har shai ko hai fana yani

rah gaya apna muddaa yani

is tarah se koi nahin jata

jis tarah ruTh kar gae jaanan

(264) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanan In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Jaanan is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Jaanan for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Jaanan in PDF.