Bana Rahe Koi Dam Naqsh-e-pa Se Kaun Kahe

bana rahe koi dam naqsh-e-pa se kaun kahe

abhi na KHak uDae hawa se kaun kahe

pae nashat nafas-do-nafas bacha ke rakhe

ye muddaa dil-e-be-muddaa se kaun kahe

gai to bu hi nahin rang bhi gulon se gaya

palaT ke bagh mein aae saba se kaun kahe

wo multafit hain magar ab hamein dimagh nahin

kahe hue ko phir ab ibtida se kaun kahe

bahut se rog dua mangne se jate hain

ye baat KHugar-e-rasm-e-dawa se kaun kahe

wo dil ka dard wo na-guftani suKHan 'KHurshid'

KHuda se kah liya KHalq-e-KHuda se kaun kahe

(418) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bana Rahe Koi Dam Naqsh-e-pa Se Kaun Kahe In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Bana Rahe Koi Dam Naqsh-e-pa Se Kaun Kahe is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Bana Rahe Koi Dam Naqsh-e-pa Se Kaun Kahe for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Bana Rahe Koi Dam Naqsh-e-pa Se Kaun Kahe in PDF.