Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log

bisat-e-waqt pe sadiyon ke fasle hum log

kanar-e-sham-o-sahar mein kahan Dhale hum log

na karwan na musafir magar jaras na thami

na raushni na hararat magar jale hum log

maqam jin ka muarriKH ke hafize mein nahin

shikast o fath ke mabain marhale hum log

numud-e-jism ki shorida KHwahishen duniya

fishaar-e-ruh ke nadida walwale hum log

na jaane kab koi karwaT hamein jaga Dale

zamin ke batn mein KHwabida zalzale hum log

fasad-e-koh-kani hila-ha-e-parwezi

hazar rang ke kanTon mein aable hum log

amir-e-shahr ki moTi samajh mein kya aate

zamir-e-dahr ke nazuk muamle hum log

hujum-e-sang-e-aziyyat mein sar jhukae hue

rawan hain le ke mashiyyat ke qafile hum log

zaban-burida o be-dast-o-pa sahi lekin

zamir-e-kaun-o-makan hain bure bhale hum log

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Bisat-e-waqt Pe Sadiyon Ke Fasle Hum Log in PDF.