Jism Ki ChaukhaT Pe KHam Dil Ki Jabin Kar Di Gai

jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai

aasman ki chiz kyun sarf-e-zamin kar di gai

mere hathon ki lakiron hi mein KHam rakkha gaya

meri uftad-e-tabiat hi ghamin kar di gai

kal meri be-KHwab aankhon ke muqabil raat-bhar

naqsh taron mein wo chashm-e-surmagin kar di gai

KHun rulwati rahi guzre zamanon ki shabih

thak gain aankhen to gharq-e-satgin kar di gai

khoT sone ke tasalsul mein kahin aai zarur

yun abas to sai-e-dil baatil nahin kar di gai

talKH kar leta hun har lazzat ki shirini ko main

kyun nigah meri nigah-e-pesh-bin kar di gai

naqsh aaKHir dil se us ru-e-hasin ka miT gaya

KHatm aaKHir sohbat-e-nam-o-nagin kar di gai

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ki ChaukhaT Pe KHam Dil Ki Jabin Kar Di Gai In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Jism Ki ChaukhaT Pe KHam Dil Ki Jabin Kar Di Gai is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Jism Ki ChaukhaT Pe KHam Dil Ki Jabin Kar Di Gai for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Jism Ki ChaukhaT Pe KHam Dil Ki Jabin Kar Di Gai in PDF.