Go Nazar Aksar Wo Husn-e-la-zawal Aa Jaega

go nazar aksar wo husn-e-la-zawal aa jaega

rah mein lekin sarab-e-mah-o-sal aa jaega

ya shikan-alud ho jaegi manzar ki jabin

ya hamari aankh ke shishe mein baal aa jaega

ret par surat-gari karti hai kya baad-e-junub

koi dam mein mauja-e-baad-e-shimal aa jaega

dosto meri tabiat ka bharosa kuchh nahin

hanste hanste aankh mein rang-e-malal aa jaega

jaane kis din hath se rakh dunga duniya ki zamam

jaane kis din tark-e-duniya ka KHayal aa jaega

hadsa ye hai ki sari zillaton ke bawajud

rafta rafta zaKHm su-e-indimal aa jaega

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Nazar Aksar Wo Husn-e-la-zawal Aa Jaega In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Go Nazar Aksar Wo Husn-e-la-zawal Aa Jaega is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Go Nazar Aksar Wo Husn-e-la-zawal Aa Jaega for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Go Nazar Aksar Wo Husn-e-la-zawal Aa Jaega in PDF.