Ek Paidal Chalne Wale Dost Ka Nauha

hujum se bach ke

sune sune KHamosh raston pe chalne wala

wo us zamane mein pa-pyaada musafirat ka amin

rasta badal chuka hai

nazar abas us ka naqsh

manus raston par

talash kar ke chaunkti hai

mujhe KHabar hai wo ja chuka hai

wo ja-ba-ja rah mein ubharti shabih us ki

nigah ki tishnagi ne misl-e-sarab ijad kar rakhi hai

jab aaKHiri bar us ko dekha

to us ka rasta badal chuka tha

har ek tariqa badal chuka tha

hujum se bach ke chalne wala

hujum ke sath chal raha tha

jab aaKHiri bar us ko dekha

to umr bhar ki musafirat ke KHilaf

us ko sawar dekha

aur us ke pahlu mein pa-pyaada hujum ko sogwar dekha

(504) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Paidal Chalne Wale Dost Ka Nauha In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Ek Paidal Chalne Wale Dost Ka Nauha is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Ek Paidal Chalne Wale Dost Ka Nauha for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Ek Paidal Chalne Wale Dost Ka Nauha in PDF.