Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar

ho gaya ab to KHayalon ka safar bhi dushwar

dur tak rah mein hai KHud meri shohrat ka ghubar

apne KHwabon ko liye ghar se na bahar niklo

chaar-su shahr mein hai nachte shoalon ki qatar

barha nind se yun chaunk uTha hun jaise

mere bistar pe teri yaad hui hai bedar

main samajhta hun ki ab sirf kutub-KHanon mein

munh zamane se chhupae hue baiThi hai bahaar

ruh ke zaKHm ubharte hain sawalon ki tarah

main kahin teri KHudai se na kar dun inkar

tez-rau waqt ki aandhi mein kahan tak aaKHir

kaam aaegi umidon ki ye kachchi diwar

ek sailab-e-hawadis ka nishan hain 'jami'

aur kya hain mere likkhe hue sare ashaar

(353) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar In English By Famous Poet Khurshid Ahmad Jami. Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar is written by Khurshid Ahmad Jami. Read famous Poem Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar for youth and Student by Khurshid Ahmad Jami. Free Download Ho Gaya Ab To KHayalon Ka Safar Bhi Dushwar in PDF.