Sae Ko Dhup Dhup Ko Saya Bana Liya

sae ko dhup dhup ko saya bana liya

ek lamha-e-visal ne kya kya bana liya

ek shahr-e-na-shanas mein jaane ki der thi

beganagi ne mujh ko tamasha bana liya

aawargan-e-shauq ka raste mein tha hujum

main ne magar hujum mein rasta bana liya

KHwabon ki main ne ek imarat banai aur

yaadon ka us mein ek daricha bana liya

itni si baat hai ki use mil nahin saka

us ne baDha ke baat ko jhagDa bana liya

(434) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sae Ko Dhup Dhup Ko Saya Bana Liya In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Sae Ko Dhup Dhup Ko Saya Bana Liya is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Sae Ko Dhup Dhup Ko Saya Bana Liya for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Sae Ko Dhup Dhup Ko Saya Bana Liya in PDF.