Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae

bas ye hua ki rishton ke sab hath kaT gae

hum log apne-ap hi aapas mein baT gae

aasar-e-mumkinat the jitne wo ghaT gae

suraj nikal ke aaya to kohre bhi chhaT gae

ye buz-dili thi apni ki kuchh bhi nahin kaha

hone diya jo hona tha raste se haT gae

un se to ja ke milna bhi dushwar ho gaya

masrufiyat ke nam pe hum bhi simaT gae

hum kya kahen ki kaise himaqat ye ho gai

jo tha sabaq bhulane ka us ko bhi raT gae

diwar-o-dar se ab bhi rifaqat wahi rahi

tanhaiyon mein aae to un se lipaT gae

'KHurshid' us pe sochiye kis ka qusur hai

aasudgi ke lamhe bhi aa kar palaT gae

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae In English By Famous Poet Khurshid Sahar. Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae is written by Khurshid Sahar. Read famous Poem Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae for youth and Student by Khurshid Sahar. Free Download Bas Ye Hua Ki Rishton Ke Sab Hath KaT Gae in PDF.