Chehre Dhuan Dhuan Hain Ye Aasar Dekh Kar

chehre dhuan dhuan hain ye aasar dekh kar

aaina-e-KHulus sharar-bar dekh kar

phir koi kuchh na bol saka kuchh na kar saka

us be-zaban ki jurat-e-izhaar dekh kar

kuchh aur tez ho gai lamhon ki saKHt dhup

Thahre jahan bhi saya-e-diwar dekh kar

raste mein koi moD na koh-e-giran mila

main lauT aaya rah ko hamwar dekh kar

wo manzar-e-shikasta ki dil Dubne laga

aankhen laraz gain pas-e-diwar dekh kar

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chehre Dhuan Dhuan Hain Ye Aasar Dekh Kar In English By Famous Poet Khurshid Sahar. Chehre Dhuan Dhuan Hain Ye Aasar Dekh Kar is written by Khurshid Sahar. Read famous Poem Chehre Dhuan Dhuan Hain Ye Aasar Dekh Kar for youth and Student by Khurshid Sahar. Free Download Chehre Dhuan Dhuan Hain Ye Aasar Dekh Kar in PDF.