Zamin Se Shukr O Shikayat Hai Aasman Se Nahin

zamin se shukr o shikayat hai aasman se nahin

ki hum yahin se hain jo kuchh bhi hain wahan se nahin

bas ek saya sa phirta hai dil mein aawara

hamare gham ka koi silsila fughan se nahin

sawal-e-shola-e-nok-e-zaban hai kya kahiye

kahan se aae hain hum log aur kahan se nahin

rawish mein charKH tapish mein zamin dihish mein sahab

ye musht-e-KHak kisi tera KHak-dan se nahin

hunar hai masti-e-jaan raunaq-e-dukan kyun ho

ayar-e-masti-e-jaan raunaq-e-dukan se nahin

mera nasab hai meri zat-e-pak se zahir

sharafat-e-nasabi naubat o nishan se nahin

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Shukr O Shikayat Hai Aasman Se Nahin In English By Famous Poet Khurshid-ul-islam. Zamin Se Shukr O Shikayat Hai Aasman Se Nahin is written by Khurshid-ul-islam. Read famous Poem Zamin Se Shukr O Shikayat Hai Aasman Se Nahin for youth and Student by Khurshid-ul-islam. Free Download Zamin Se Shukr O Shikayat Hai Aasman Se Nahin in PDF.