Andheron Mein BhaTakna Hai Pareshani Mein Rahna Hai

andheron mein bhaTakna hai pareshani mein rahna hai

main jugnu hun mujhe ek shab ki virani mein rahna hai

abhi kuchh zabt ka yara meri aankhon mein baqi hai

abhi ashkon ko palkon ki nigahbani mein rahna hai

jo manzar ru-ba-ru hai dekh lun ek bar ji bhar ke

phir is ke baad to aankhon ko hairani mein rahna hai

teri wahshat samajhta hun ai meri aarzu lekin

tujhe kuchh din abhi is dil ki virani mein rahna hai

tu phir kyun lauT kar har bar aa jati hain sahil par

agar in kashtiyon ko umr bhar pani mein rahna hai

isi ummid par to kaT lin ye mushkilen hum ne

ab is ke baad to ai 'shad' aasani mein rahna hai

(469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Andheron Mein BhaTakna Hai Pareshani Mein Rahna Hai In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Andheron Mein BhaTakna Hai Pareshani Mein Rahna Hai is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Andheron Mein BhaTakna Hai Pareshani Mein Rahna Hai for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Andheron Mein BhaTakna Hai Pareshani Mein Rahna Hai in PDF.