Bahut Dinon Se Mere Baam-o-dar Ka Hissa Hai

bahut dinon se mere baam-o-dar ka hissa hai

meri tarah ye udasi bhi ghar ka hissa hai

phir is ke baad hawa aur us ka rahm o karam

abhi talak to ye patta shajar ka hissa hai

zarur dil se koi rabta hai aankhon ka

isi liye to lahu chashm-e-tar ka hissa hai

ye tera taj nahin hai hamari pagDi hai

ye sar ke sath hi utregi sar ka hissa hai

na jaane 'shad' teri kab samajh mein aaega

ki ab zamir-faroshi hunar ka hissa hai

(312) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Dinon Se Mere Baam-o-dar Ka Hissa Hai In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Bahut Dinon Se Mere Baam-o-dar Ka Hissa Hai is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Bahut Dinon Se Mere Baam-o-dar Ka Hissa Hai for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Bahut Dinon Se Mere Baam-o-dar Ka Hissa Hai in PDF.