Bujha Ke Mujh Mein Mujhe Be-karan Banata Hai

bujha ke mujh mein mujhe be-karan banata hai

wo ek amal jo sharar ko dhuan banata hai

na jaane kitni aziyyat se KHud guzarta hai

ye zaKHm tab kahin ja kar nishan banata hai

main wo shajar bhi kahan jo ulajh ke suraj se

musafiron ke liye saeban banata hai

tu aasman se koi baadalon ki chhat le aa

barhana shaKH pe kya aashiyan banata hai

ajab nasib sadaf ka ki us ke sine mein

guhar na hona use raegan banata hai

faqat main rang hi bharne ka kaam karta hun

ye naqsh to koi dard-e-nihan banata hai

na soch 'shad' shikasta-paron ke bare mein

yahi KHayal-safar ko giran banata hai

(339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujha Ke Mujh Mein Mujhe Be-karan Banata Hai In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Bujha Ke Mujh Mein Mujhe Be-karan Banata Hai is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Bujha Ke Mujh Mein Mujhe Be-karan Banata Hai for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Bujha Ke Mujh Mein Mujhe Be-karan Banata Hai in PDF.