Hawa Ke Par Katarna Ab Zaruri Ho Gaya Hai

hawa ke par katarna ab zaruri ho gaya hai

mera parwaz bharna ab zaruri ho gaya hai

mere andar kai ehsas patthar ho rahe hain

ye shiraaza bikharna ab zaruri ho gaya hai

main aksar zindagi ke un marahil se bhi guzra

jahan lagta tha marna ab zaruri ho gaya hai

meri KHamoshiyan ab mujh pe hawi ho rahi hain

ki khul kar baat karna ab zaruri ho gaya hai

bulandi bhi nashebon ki tarah lagne lagi hai

bulandi se utarna ab zaruri ho gaya hai

main is yak-rangi-e-haalat se ukta chuka hun

haqiqat se mukarna ab zaruri ho gaya hai

meri aankhen bahut viran hoti ja rahi hain

KHala mein rang bharna ab zaruri ho gaya hai

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ke Par Katarna Ab Zaruri Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Hawa Ke Par Katarna Ab Zaruri Ho Gaya Hai is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Hawa Ke Par Katarna Ab Zaruri Ho Gaya Hai for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Hawa Ke Par Katarna Ab Zaruri Ho Gaya Hai in PDF.