Hum Is Dayar Ke Is KHak-dan Ke The Hi Nahin

hum is dayar ke is KHak-dan ke the hi nahin

wahin pe aa ke base hain jahan ke the hi nahin

the jis ka markazi kirdar ek umr talak

pata chala ki usi dastan ke the hi nahin

safar se lauT ke hairat hui parinde ko

ye KHar-o-KHas to mere aashiyan ke the hi nahin

har ek rang mein dekha hai us ko aankhon ne

ye rang pahle kabhi aasman ke the hi nahin

hamein bahaar ke mausam mein le uDi hai hawa

wo barg-e-zard hain hum jo KHizan ke the hi nahin

isi liye nahin rakkha hisab sanson ka

ki masale kabhi sud-o-ziyan ke the hi nahin

talash karte ho kyun 'shad' guzre lamhon ko

wo rah-rau to kisi karwan ke the hi nahin

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Is Dayar Ke Is KHak-dan Ke The Hi Nahin In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Hum Is Dayar Ke Is KHak-dan Ke The Hi Nahin is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Hum Is Dayar Ke Is KHak-dan Ke The Hi Nahin for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Hum Is Dayar Ke Is KHak-dan Ke The Hi Nahin in PDF.