Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain

na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain

wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain

main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta

ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain

unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga

ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain

yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi

yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain

kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi

na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain

zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge

yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain

tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai

sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain in PDF.