Nai Mushkil Koi Darpesh Har Mushkil Se Aage Hai

nai mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai

safar diwangi ka ishq ki manzil se aage hai

mujhe kuchh der mein phir ye kinara chhoD dena hai

main kashti hun safar mera har ek sahil se aage hai

khaDe hain sans roke sab tamasha dekhne wale

ki ab mazlum bas kuchh hi qadam qatil se aage hai

mujhe ab ruh tak ek dard sa mahsus hota hai

to kya wusat mere ehsas ki is dil se aage hai

mere is kar-e-be-masraf ko kya samjhegi ye duniya

meri ye sai-e-la-hasil har ek hasil se aage hai

ye aksar 'shad' rakhti hai mujhe KHush rang lamhon se

meri tanhai teri raunaq-e-mahfil se aage hai

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Mushkil Koi Darpesh Har Mushkil Se Aage Hai In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Nai Mushkil Koi Darpesh Har Mushkil Se Aage Hai is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Nai Mushkil Koi Darpesh Har Mushkil Se Aage Hai for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Nai Mushkil Koi Darpesh Har Mushkil Se Aage Hai in PDF.