Hum Har Qadam Par Soch Ka RuKH MoDte Rahe

hum har qadam par soch ka ruKH moDte rahe

kitne sanam banate rahe toDte rahe

halchal jo dil mein thi wo na lafzon mein Dhal saki

rishte zaban o dil ke bahut joDte rahe

ubhra kiye shokuk nae dil mein har ghaDi

har dam naya shagufa koi chhoDte rahe

KHud mein the aise dahr se na-ashna rahe

raushan haqiqaton se bhi munh moDte rahe

partaw tha ek jamal ka aaya guzar gaya

saya tha jis ke pichhe sada dauDte rahe

ab tak junun-e-ishq ki hain sar-bulandiyan

nahaq KHirad ke nam pe sar phoDte rahe

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Har Qadam Par Soch Ka RuKH MoDte Rahe In English By Famous Poet Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Hum Har Qadam Par Soch Ka RuKH MoDte Rahe is written by Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Read famous Poem Hum Har Qadam Par Soch Ka RuKH MoDte Rahe for youth and Student by Khwaja Mahmood-ul-Hasan. Free Download Hum Har Qadam Par Soch Ka RuKH MoDte Rahe in PDF.