Arz-o-sama Kahan Teri Wusat Ko Pa Sake

arz-o-sama kahan teri wusat ko pa sake

mera hi dil hai wo ki jahan tu sama sake

wahdat mein teri harf dui ka na aa sake

aaina kya majal tujhe munh dikha sake

main wo fatada hun ki baghair-az-fana mujhe

naqsh-e-qadam ki tarah na koi uTha sake

qasid nahin ye kaam tera apni rah le

us ka payam dil ke siwa kaun la sake

ghafil KHuda ki yaad pe mat bhul zinhaar

apne tain bhula de agar tu bhula sake

ya-rab ye kya tilism hai idrak-o-fahm yan

dauDe hazar aap se bahar na ja sake

go bahs kar ke baat biThai bhi kya husul

dil se uTha ghilaf agar tu uTha sake

itfa-e-nar-e-ishq na ho aab-e-ashk se

ye aag wo nahin jise pani bujha sake

mast-e-sharab-e-ishq wo be-KHud hai jis ko hashr

ai 'dard' chahe lae ba-KHud phir na la sake

(1945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-o-sama Kahan Teri Wusat Ko Pa Sake In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Arz-o-sama Kahan Teri Wusat Ko Pa Sake is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Arz-o-sama Kahan Teri Wusat Ko Pa Sake for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Arz-o-sama Kahan Teri Wusat Ko Pa Sake in PDF.