Bagh-e-jahan Ke Gul Hain Ya Khaar Hain To Hum Hain

bagh-e-jahan ke gul hain ya KHar hain to hum hain

gar yar hain to hum hain aghyar hain to hum hain

dariya-e-marifat ke dekha to hum hain sahil

gar war hain to hum hain aur par hain to hum hain

wabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr

majbur hain to hum hain muKHtar hain to hum hain

tera hi husn jag mein har-chand maujzan hai

tis par bhi tishna-kaam-e-didar hain to hum hain

alfaz-e-KHalq hum bin sab mohmilat se the

mani ki tarah rabt-e-guftar hain to hum hain

auron se to girani yak-laKHt uTh gai hai

ai 'dard' apne dil ke gar bar hain to hum hain

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh-e-jahan Ke Gul Hain Ya Khaar Hain To Hum Hain In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Bagh-e-jahan Ke Gul Hain Ya Khaar Hain To Hum Hain is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Bagh-e-jahan Ke Gul Hain Ya Khaar Hain To Hum Hain for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Bagh-e-jahan Ke Gul Hain Ya Khaar Hain To Hum Hain in PDF.