Qatl-e-ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh Dur Na Tha

qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha

par tere ahd se aage to ye dastur na tha

raat majlis mein tere husn ke shoale ke huzur

shama ke munh pe jo dekha to kahin nur na tha

zikr mera hi wo karta tha sarihan lekin

main ne puchha to kaha KHair ye mazkur na tha

bawajude ki par-o-baal na the aadam ke

wahan pahuncha ki farishte ka bhi maqdur na tha

parwarish gham ki tere yan tain to ki dekha

koi bhi dagh tha sine mein ki nasur na tha

mohtasib aaj to mai-KHane mein tere hathon

dil na tha koi ki shishe ki tarah chur na tha

'dard' ke milne se ai yar bura kyun mana

us ko kuchh aur siwa did ke manzur na tha

(2509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatl-e-ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh Dur Na Tha In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Qatl-e-ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh Dur Na Tha is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Qatl-e-ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh Dur Na Tha for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Qatl-e-ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh Dur Na Tha in PDF.