Rabt Hai Naz-e-butan Ko To Meri Jaan Ke Sath

rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath

ji hai wabasta mera un ki har ek aan ke sath

apne hathon ke bhi main zor ka diwana hun

raat din kushti hi rahti hai gareban ke sath

jo jafa-ju hain unhen sang-dili lazim hai

kaam talwar ko rahta hai sada san ke sath

gar masiha-nafasi hai yahi mutrib to KHair

ji hi jate hain chale teri har ek tan ke sath

'dard' har-chand main zahir mein to hun mor-e-zaif

zor nisbat hai wale mujh ko 'suleman' ke sath

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rabt Hai Naz-e-butan Ko To Meri Jaan Ke Sath In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Rabt Hai Naz-e-butan Ko To Meri Jaan Ke Sath is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Rabt Hai Naz-e-butan Ko To Meri Jaan Ke Sath for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Rabt Hai Naz-e-butan Ko To Meri Jaan Ke Sath in PDF.