AaKHir SuKHan Tamam Kiya Is Dua Ke Sath

aaKHir suKHan tamam kiya is dua ke sath

rahna gulon ke beach mahakna hawa ke sath

ek be-kanar hijr meri ruh mein muqim

ek be-panah KHauf meri iltija ke sath

ek be-yaqin raat meri raat ki sharik

ek be-dayar sham dil-e-na-rasa ke sath

ek barg-e-KHushk shaKH se girne ka muntazir

aur mera jism kanp raha hai hawa ke sath

sahra mein khinchti hai mujhe KHwahish-e-qarar

sahra ko khinchta hun main zanjir-e-pa ke sath

aankhon mein meri rang ke dariya utar kar

chehre ko us ne pher liya kis ada ke sath

dil ki girah-kushai faqat shart hai 'razi'

khul jaega wo jism to band-e-qaba ke sath

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir SuKHan Tamam Kiya Is Dua Ke Sath In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. AaKHir SuKHan Tamam Kiya Is Dua Ke Sath is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem AaKHir SuKHan Tamam Kiya Is Dua Ke Sath for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download AaKHir SuKHan Tamam Kiya Is Dua Ke Sath in PDF.