Aisa Kar Sakte The Kya Koi Guman Tum Aur Main

aisa kar sakte the kya koi guman tum aur main

aise tanha nazar aaenge yahan tum aur main

bazm aarasta hogi to numayan honge

kisi tanhai mein shayad hain nihan tum aur main

rahguzar KHatm hui jati hai aage ja kar

chhoD aae hain kahan apna nishan tum aur main

jhilmilati hai kahin par kisi imkan ki lau

usi imkan ki jaanib nigaran tum aur main

be-hisi shart hi Thahri thi rifaqat mein agar

kis liye karte rahe jaan ka ziyan tum aur mein

ek inkar ki KHwahish ko chhupae dil mein

gird-e-iqrar mein baiThe hain miyan tum aur main

ab thakan jism mein utri hai to aata hai KHayal

kin hawaon mein rahe raqs-kunan tum aur main

main ne puchha ki koi dil-zadagan ki hai misal

kis tawaqquf se kaha us ne ki han tum aur main

kis ki aawaz taaqub mein chali aai 'razi'

is se pahle bhi to aae the yahan tum aur main

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Kar Sakte The Kya Koi Guman Tum Aur Main In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Aisa Kar Sakte The Kya Koi Guman Tum Aur Main is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Aisa Kar Sakte The Kya Koi Guman Tum Aur Main for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Aisa Kar Sakte The Kya Koi Guman Tum Aur Main in PDF.