Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain

dikha kar aaine mein apna chehra kho gae hain

ye duniya bhi tamasha thi tamasha ho gae hain

musafir hain safar mein bud-o-bash apni yahi hai

jahan par koi saya mil gaya hai so gae hain

ba-zahir ek sahra hain magar aisa nahin hai

hamari KHak ko kitne hi dariya ro gae hain

wo mausam aur manzar jin se hum tum KHush-nazar the

wo mausam aur manzar darmiyan se kho gae hain

qadam aahista rakkho kah rahe hain KHushk patte

daraKHton par thake-haare parinde so gae hain

nahin ehsas tum ko raegani ka hamari

suhulat se tumhein shayad mayassar ho gae hain

rifaqat mein ye kaisa saneha guzra hai hum par

badan bedar hain lekin muqaddar so gae hain

kabhi sairab jo lamhe kiye the KHun-e-dil se

wahi lamhe 'razi' aankhon mein kanTe bo gae hain

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Dikha Kar Aaine Mein Apna Chehra Kho Gae Hain in PDF.