Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya

guzri jo rahguzar mein use darguzar kiya

aur phir ye tazkira kabhi ja kar na ghar kiya

chashm-e-saliqa-saz to KHamosh hi rahi

ruKHsat pe teri dil ne bahut shor-o-shar kiya

aazurdagan-e-hijr ki wahshat ajib hai

nikle na ghar se aur na aabaad ghar kiya

be-barg-o-bar jism tha mahrum-e-e'tibar

sar-gami-e-saba ne shajar ko shajar kiya

apne siwa kisi ko ye dil manta na tha

is dil ko ustuwar teri aankh par kiya

ye ishq marhala to safar-dar-safar ka hai

ab dekhna hai kis ne kahan tak safar kiya

aise kushada-dast kahan ke the hum 'razi'

shayad lihaz-e-zahmat-e-daryuza-gar kiya

(468) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Guzri Jo Rahguzar Mein Use Darguzar Kiya in PDF.