Hina Ke Qaus-e-quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang

hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang

wo aankh lai hai zanjir kar ke kya kya rang

tujhe KHabar nahin pahlu-e-mausam-e-gul se

chhalak rahe hain teri chashm-e-tar ke kya kya rang

utar rahe hain meri hairaton ke aangan mein

faraaz-e-shab se tulu-e-sahar ke kya kya rang

sar-e-visal tere kaif-o-kam se zahir hain

meri nazar pe kaf-e-kuza-gar ke kya kya rang

faza KHamosh hui phir bhi raqs karte hain

nawah-e-jaan mein kisi ki nazar ke kya kya rang

safar mein tark-e-masafat pe dil hua mail

masafaton mein khule apne ghar ke kya kya rang

guman bahaar ka hota hai ab KHizan pe 'razi'

chura liye hain KHizan ne shajar ke kya kya rang

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hina Ke Qaus-e-quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Hina Ke Qaus-e-quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Hina Ke Qaus-e-quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Hina Ke Qaus-e-quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang in PDF.