Jo Motarif The Mere Shajra-e-nasab Ke Sab

jo mo'tarif the mere shajra-e-nasab ke sab

wo log ho gae ruKHsat yahan se kab ke sab

faza-e-nisbat-o-qurbat hai gard gard magar

samajh rahe hain mere dil ka haal sab ke sab

wo log jin ki himayat mein KHud se laDta raha

wo log ho gae mere KHilaf ab ke sab

rawish mein auron ke aslaf ki rawish na rahi

so qisse likkhe gae mere hi nasab ke sab

main dusron ki talab mein bahaal hota raha

ghulam hote rahe apni hi talab ke sab

wo harf jis se uTha hai meri nawa ka KHamir

hain muntazir usi ek harf-e-zer-e-lab ke sab

use KHabar thi ki main ek shab ka mehman hun

sau band wa kiye us ne qaba-e-shab ke sab

kisi rihai ka ahwal jaanne ke liye

sirhane baiThe hain KHamosh jaan-ba-lab ke sab

charagh aur qalam aankh aur hairani

ye istiare hain goya meri talab ke sab

ye ranjishen hain 'razi' aur hi talluq se

ye silsile hain kisi aur hi tarab ke sab

(491) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Motarif The Mere Shajra-e-nasab Ke Sab In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Jo Motarif The Mere Shajra-e-nasab Ke Sab is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Jo Motarif The Mere Shajra-e-nasab Ke Sab for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Jo Motarif The Mere Shajra-e-nasab Ke Sab in PDF.