Kabhi Makan Mein Kabhi Rahguzar Mein Rahte The

kabhi makan mein kabhi rahguzar mein rahte the

ye roz-o-shab to hamesha nazar mein rahte the

hawa ki rah mein uDti thi zindagi apni

misal-e-mauj kabhi hum bhanwar mein rahte the

mohabbaton mein bahut dil dhaDakta rahta tha

ajib log dil-e-mo'tabar mein rahte the

hamein bhi shauq tha kuchh titliyan pakaDne ka

tamam rang magar chashm-e-tar mein rahte the

KHizan se pahle yahan ka ajib mausam tha

samar ki tarah parinde shajar mein rahte the

gurez-pai ka shikwa karen to kis se karen

safar mein rah ke bhi hum log ghar mein rahte the

hawa ke sath zamana badal gaya hai 'razi'

hamin the wo jo kabhi is nazar mein rahte the

(418) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Makan Mein Kabhi Rahguzar Mein Rahte The In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Kabhi Makan Mein Kabhi Rahguzar Mein Rahte The is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Kabhi Makan Mein Kabhi Rahguzar Mein Rahte The for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Kabhi Makan Mein Kabhi Rahguzar Mein Rahte The in PDF.