Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor

kaisi hai ajab raat ye kaisa hai ajab shor

sahra hi nahin ghar bhi machata hai ajab shor

ek dard ki aandhi mujhe rakhti hai hirasan

ek aas ka jhonka bhi uData hai ajab shor

raushan hai kisi aankh mein tariki-e-ahwal

ek taq-e-tamanna mein dahakta hai ajab shor

ek shaKHs mere aaina-e-dil ke muqabil

KHamosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor

aati hai bahut dur se pazeb ki aawaz

phir meri samaat mein chahakta hai ajab shor

main zabt ko har ruKH se sipar karta hun lekin

aankhon se meri jhankta rahta hai ajab shor

shayad tera hissa hai kinare ki KHamoshi

malum tujhe kya tah-e-dariya hai ajab shor

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Kaisi Hai Ajab Raat Ye Kaisa Hai Ajab Shor in PDF.