Qarz Kya Kya Nazar Pe Nikle Hain

qarz kya kya nazar pe nikle hain

jab bhi sair-o-safar pe nikle hain

jangalon se guzarne walon ke

raste mere ghar pe nikle hain

nam puchha hai rahgiron ne

jab kabhi rahguzar pe nikle hain

zaKHm phuTe hain ja-ba-ja tan par

kya shagufe shajar pe nikle hain

kya musibat hai shahr walon par

rakh ke saman sar pe nikle hain

sath le kar kitab yaadon ki

ek lambe safar pe nikle hain

dasht-o-sahra se ghum-phir ke 'razi'

ab shanasa Dagar pe nikle hain

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarz Kya Kya Nazar Pe Nikle Hain In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Qarz Kya Kya Nazar Pe Nikle Hain is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Qarz Kya Kya Nazar Pe Nikle Hain for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Qarz Kya Kya Nazar Pe Nikle Hain in PDF.