Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha

rasta bhi teri samt tha ghar teri taraf tha

ab ja ke khula mera safar teri taraf tha

aangan tha mera aur na dar-o-baam the mere

main dhup mein tha saya-e-dar teri taraf tha

mahfil tujhe bas chhoD ke jaane ke liye thi

ek main hi faqat KHak-basar teri taraf tha

ujlat mein na kar tark-e-talluq ki shikayat

dil teri taraf yaad to kar teri taraf tha

aaine mein aur aab-e-rawan mein tha tera aks

shayad ki mera dida-e-tar teri taraf tha

tu mausam-e-gul mein bhi gurezan raha mujh se

main shaKH-e-burida tha magar teri taraf tha

main tere hawale se raha shahr mein matub

jo mera hunar tha wo hunar teri taraf tha

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Rasta Bhi Teri Samt Tha Ghar Teri Taraf Tha in PDF.