Sar-nigun Dil Ki Tarah Dast-e-dua Ho Bhi Chuke

sar-nigun dil ki tarah dast-e-dua ho bhi chuke

silsile jin ke juda the wo juda ho bhi chuke

dasht mein aaya nahin naqa-e-mahmil-bar-dosh

naqsh kuchh surat-e-naqsh-e-kaf-e-pa ho bhi chuke

naKHl-e-ummid raha phir bhi numu se mahrum

jab ki mausam kai aaghosh-kusha ho bhi chuke

ek be-nam si hasrat hai badan mein baqi

jis qadar qarz the shab ke wo ada ho bhi chuke

KHwahish-e-uqda-kushai pe nadamat kaisi

rasm-e-naKHun se KHafa band-e-qaba ho bhi chuke

ab to bas ek tasalsul hai talluq ka daraaz

imtihan ho bhi chuka wade wafa ho bhi chuke

kab tak ai baad-e-saba tujh se tawaqqoa rakkhun

dil tamanna ka shajar hai to hara ho bhi chuke

main to ek gunj mein zinda hun sar-e-bazm 'razi'

jin ko hona tha yahan naghma-sara ho bhi chuke

(457) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-nigun Dil Ki Tarah Dast-e-dua Ho Bhi Chuke In English By Famous Poet Khwaja Razi Haidar. Sar-nigun Dil Ki Tarah Dast-e-dua Ho Bhi Chuke is written by Khwaja Razi Haidar. Read famous Poem Sar-nigun Dil Ki Tarah Dast-e-dua Ho Bhi Chuke for youth and Student by Khwaja Razi Haidar. Free Download Sar-nigun Dil Ki Tarah Dast-e-dua Ho Bhi Chuke in PDF.