Dekh Kar Mai Munh Mein Pani ShaiKH Ke Bhar Aaega

dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega

chiz achchhi dekhega muflis ka ji lalchaega

shoala bhaDka kar rahegi ye dabi aag ek din

gar wo ThanDi garmiyon se dil mera sulgaega

kakul-e-purpech se hasil hua ye mu-ba-mu

hath ko jo khinch lega panw ko phailaega

zabt-e-girya se hai nuqsan qasr-e-tan ke waste

baiTh hi jaega ghar pani agar mar jaega

chashm-e-baddur aankh aisi hai nashili yar ki

mohtasib ke munh mein pani dekh kar bhar aaega

ishwa chaalaki karishma naz ghamza yar ka

garche hai qahr-e-KHuda par dil ko mere bhaega

le chali gar wahshat-e-dil jaanib-e-sahra 'waqar'

ranj-o-hirman panw dar par yar ke phailaega

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Mai Munh Mein Pani ShaiKH Ke Bhar Aaega In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Dekh Kar Mai Munh Mein Pani ShaiKH Ke Bhar Aaega is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Dekh Kar Mai Munh Mein Pani ShaiKH Ke Bhar Aaega for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Dekh Kar Mai Munh Mein Pani ShaiKH Ke Bhar Aaega in PDF.