Qabu Mein Dil Ho To Kahen Shaida Na Kijiye

qabu mein dil ho to kahen shaida na kijiye

apne ko apne hath se ruswa na kijiye

dil le ke bosa dete nahin aur ye kahte hain

apne parae mein kahin charcha na kijiye

rindan baada-KHwar mein hai aib-e-sar-kashi

KHam kis tarah se gardan-e-mina na kijiye

isa se un ki chashm-e-suKHan go ye kahti hai

mere mariz-e-ishq ko achchha na kijiye

munh pheriye na lal-e-shakar kha ke bose se

dil apne talKH-kaam ka khaTTa na kijiye

KHun-reziyan Tapakti hain pa-e-hinai se

fitna KHiram-e-naz ka barpa na kijiye

aaghaz ishq ko diya anjam-e-girya ne

ab kya 'waqar' kijiye aur kya na kijiye

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qabu Mein Dil Ho To Kahen Shaida Na Kijiye In English By Famous Poet Kishan Kumaar Waqaar. Qabu Mein Dil Ho To Kahen Shaida Na Kijiye is written by Kishan Kumaar Waqaar. Read famous Poem Qabu Mein Dil Ho To Kahen Shaida Na Kijiye for youth and Student by Kishan Kumaar Waqaar. Free Download Qabu Mein Dil Ho To Kahen Shaida Na Kijiye in PDF.